حدیث : عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ الْإِيمَانُ بِضْعٌ وَسَبْعُونَ أَوْ بِضْعٌ وَسِتُّونَ شُعْبَةً فَأَفْضَلُهَا قَوْلُ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَأَدْنَاهَا إِمَاطَةُ الْأَذَى عَنْ الطَّرِيقِ وَالْحَيَاءُ شُعْبَةٌ مِنْ الْإِيمَانِ ۔
Tarjama: Hazrat Abu Huraira radhi allaho anho bayan karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya: Imaan ki sattar (70) se kuchh ziyadah shaakhein hain. Un me sab se afzal “La ilaaha illallah” ka iqrar karna hai aur un me sab se nichla darja kisi takleef dene waali cheez ko raaste se door kar dena hai. Aur haya bhi imaan ki ek shaakh hai. [Sahi Muslim, Kitabul Imaan, Hadees: 51]
حدیث : عَنْ أَنَسٍ قَالَ قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لَا يُؤْمِنُ أَحَدُكُمْ حَتَّى أَكُونَ أَحَبَّ إِلَيْهِ مِنْ وَالِدِهِ وَوَلَدِهِ وَالنَّاسِ أَجْمَعِينَ۔
Tarjama: Hazrat Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya ke : Tum me se koi shakhs us waqt tak momin nahi ho sakta jab tak main uske nazdeek uske waaledain, Uski aulaad aur tamaam logon se ziyada mehboob na ho jaaun. [Sahi Bukhari, Kitabul Imaan, Hadees: 14]
حدیث : عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ عَنْ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ ثَلَاثٌ مَنْ كُنَّ فِيهِ وَجَدَ حَلَاوَةَ الْإِيمَانِ أَنْ يَكُونَ اللَّهُ وَرَسُولُهُ أَحَبَّ إِلَيْهِ مِمَّا سِوَاهُمَا وَأَنْ يُحِبَّ الْمَرْءَ لَا يُحِبُّهُ إِلَّا لِلَّهِ وَأَنْ يَكْرَهَ أَنْ يَعُودَ فِي الْكُفْرِ كَمَا يَكْرَهُ أَنْ يُقْذَفَ فِي النَّارِ ۔
Tarajama: Hazrat Anas bin Maalik radhi allaho anho bayan karte hain ki Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya ke : Jis shakhs ke andar teen baatein hongi wo imaan ki mithas ko paa lega. [1] Allah aur uske Rasool, use baqi tamam cheezon se ziyada mehboob hon. [2] Jis shakhs se bhi use mohabbat ho wo sirf Allah ki wajah se ho. [3] Wo kufr me lautne ko isi tarah naapasand karta ho jaise aag me dale jaane ko naapasand karta ho. [Sahi Bukhari, Kitabul Imaan, Hadees: 15]
حدیث : عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ قَالَ جَاءَ نَاسٌ مِنْ أَصْحَابِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَسَأَلُوهُ إِنَّا نَجِدُ فِي أَنْفُسِنَا مَا يَتَعَاظَمُ أَحَدُنَا أَنْ يَتَكَلَّمَ بِهِ قَالَ وَقَدْ وَجَدْتُمُوهُ قَالُوا نَعَمْ قَالَ ذَاكَ صَرِيحُ الْإِيمَانِ۔
Tarjama:Hazrat Abu Huraira radhi allaho anho bayan karte hain ke kuchh sahaba Nabi Kareem ﷺ ke paas aae aur unhone arz kiya ke: Humare dil me kuchh aise khayalat aa-jaate hain ke hum use bol nahi sakte. To Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya ke: Wo to imaan ki waazeh nishaani hai. [Sahi Muslim, Kitabul Imaan, Hadees: 188]
حدیث : عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَمْرٍو رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَاعَنْ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ الْمُسْلِمُ مَنْ سَلِمَ الْمُسْلِمُونَ مِنْ لِسَانِهِ وَيَدِهِ۔ ِ
Tarjama:Hazrat Abdullah bin Umar radhi allaho anhuma se riwayat hai ke Huzur Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya ke: Musalman wo hai jis ki zabaan aur haath se doosre musalman mahfooz rahe. [Sahi Bukhari, Kitabul Imaan, Hadees: 9]
عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَمْرٍو رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَاأَنَّ رَجُلًا سَأَلَ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَيُّ الْإِسْلَامِ خَيْرٌ قَالَ تُطْعِمُ الطَّعَامَ وَتَقْرَأُ السَّلَامَ عَلَى مَنْ عَرَفْتَ وَمَنْ لَمْ تَعْرِفْ ۔
Tarjama:Hazrat Abdullah bin Umar radhi allaho anhuma se riwayat hai ki ek shakhs ne puchha ke ya Rasoolallah ﷺ! Konsa islam sabse behtar hai? To Huzoor ﷺ ne irshad farmaya: Khana khilao. Aur jise pehchante ho use salaam karo aur jise nahi pehchante ho use bhi salaam karo. [Sahi Bukhari, Kitabul Imaan, Hadees: 11]
حدیث : عَنْ أَنَسٍ عَنْ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ لَا يُؤْمِنُ أَحَدُكُمْ حَتَّى يُحِبَّ لِأَخِيهِ مَا يُحِبُّ لِنَفْسِهِ ۔
Tarjama: Hazrat Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya ke : Tum me se koi shakhs us waqt tak mukammal imaan wala nahi ho sakta jab tak wo apne bhai ke liye wahi cheez na pasand kare jo apne liye karta hai. [Sahi Bukhari, Kitabul Imaan, Hadees: 12]
حدیث : عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ، أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، قَالَ : إِنَّ الْمُؤْمِنَ يَأْلَفُ ، وَلاَ خَيْرَ فِيمَنْ لاَ يَأْلَفُ وَلاَ يُؤْلَفُ .
Tarjama: Hazrat Abu Huraira radhi allaho anho bayan karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya: Beshak momin ulfat karne wala hota hai. Aur us shakhs ke andar koi bhalaai nahi jo dusron se ulfat nahi karta aur nahi use ulfat kiya jata hai. [Al Mustadrak Lilhakim, Kitabul Imaan, Hadees:59]
حدیث : عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ، قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : أَكْمَلُ الْمُؤْمِنِينَ إِيمَانًا أَحْسَنُهُمْ خُلُقًا.
Tarjama: Hazrat Abu Huraira radhi allaho anho bayan karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya: Zyada kaamil momin wo hain jinke akhlaaq zyada achhe hain. [Al Mustadrak Lilhakim, Kitabul Imaan, Hadees:1]
حدیث : عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَعَنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ مَنْ كَانَ يُؤْمِنُ بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ فَلْيَقُلْ خَيْرًا أَوْ لِيَصْمُتْ وَمَنْ كَانَ يُؤْمِنُ بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ فَلْيُكْرِمْ جَارَهُ وَمَنْ كَانَ يُؤْمِنُ بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ فَلْيُكْرِمْ ضَيْفَهُ۔ِ
Tarjama: Hazrat Abu Huraira radhi allaho anho bayan karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya: Jo Allah aur akhirat ke din par imaan rakhta hai use chahiye ke jab bole to achhi baat bole, nahi to chup rahe. Aur Jo Allah aur akhirat ke din par imaan rakhta hai use chahiye ke apne padosi ki izzat kare. Aur Jo Allah aur akhirat ke din par imaan rakhta hai use chahiye ke apne mehmano ki izzat kare. [Sahi Muslim, Kitabul Imaan, Hadees: 51]
حدیث: عَنْ أَبِي شُرَيْحٍ أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ وَاللَّهِ لَا يُؤْمِنُ وَاللَّهِ لَا يُؤْمِنُ وَاللَّهِ لَا يُؤْمِنُ قِيلَ وَمَنْ يَا رَسُولَ اللَّهِ قَالَ الَّذِي لَا يَأْمَنُ جَارُهُ بَوَايِقَهُ.
Tarjama: Hazrat Abu Shuraih riwayat karte hain ke Rasool-e-Akram ﷺ ne farmaya: Qasam Allah taala ki wo momin nahi, Qasam Allah taala ki wo momin nahi Qasam Allah taala ki wo momin nahi. Main ne kaha ya Rasoolallah ﷺ kon momin nahi? Aap ﷺ ne farmaya: Wo aadmi jiske padosi uski shararton aur aafaton se mahfooz na ho. [Sahi Bukhari, Kitabul Aadab, Hadees: 6016]
حدیث : عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لَا تَدْخُلُونَ الْجَنَّةَ حَتَّى تُؤْمِنُوا وَلَا تُؤْمِنُوا حَتَّى تَحَابُّوا أَوَلَا أَدُلُّكُمْ عَلَى شَيْءٍ إِذَا فَعَلْتُمُوهُ تَحَابَبْتُمْ أَفْشُوا السَّلَامَ بَيْنَكُمْ۔
Tarjama:Hazrat Abu Huraira radhi allaho anho bayan karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya: Tum log Jannat me dakhil nahi hoge jab tak ke momin nahi ban jaao. Aur tum momin nahi ho sakte jab tak ke tum aapas me ek doosre se mohabbat na karo. To kya main tum logon ko wo cheez na bata dun ke jab tum wo karoge to aapas me mohabbat paida hogi. Wo cheez ye hai ke tum aapas me salaam ko phailaao. [Sahi Muslim, Kitabul Imaan, Hadees: 81]
حدیث : عَنْ أَبِي أُمَامَةَ ، أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ سَأَلَهُ رَجُلٌ ، فَقَالَ : يَا رَسُولَ اللهِ مَا الإِيمَانُ ؟ قَالَ : إِذَا سَرَّتْكَ حَسَنَتُكَ وَسَاءَتْكَ سَيِّئَتُكَ فَأَنْتَ مُؤْمِنٌ . فَقَالَ : يَا رَسُولَ اللهِ مَا الإِثْمُ ؟ قَالَ : إِذَا حَاكَ فِي صَدْرِكَ شَيْءٌ فَدَعْهُ .
Tarjama:Hazrat Abu Umama radhi allaho anho bayan karte hain ki ek shakhs ne poochha ki ya Rasoolullah ﷺ! Imaan kya hai? To Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya ke: Jab tumhari neki tumhe khush kare aur tumhari buraai tumhe ghamgeen kare to tum momin ho. Phir unhone poochha ke ya Rasoolullah ﷺ! Gunaah kya hai? To Aap ﷺ ne irshad farmaya ke: Jab tumhare dil me koi cheez khatke to tum us cheez ko chhor do. [Al Mustadrak Lilhakim, Kitabul Imaan, Hadees:33]
حدیث : عَنْ تَمِيمٍ الدَّارِىِّ أَنَّ النَّبِىَّ -صلى الله عليه وسلم- قَالَ « الدِّينُ النَّصِيحَةُ » قُلْنَا لِمَنْ قَالَ « لِلَّهِ وَلِكِتَابِهِ وَلِرَسُولِهِ وَلأَئِمَّةِ الْمُسْلِمِينَ وَعَامَّتِهِمْ ».
Tarjama: Hazrat Tameem Daari radhi allaho anho bayan karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya ki: Deen khair-khwaahi ka naam hai. Hum ne arz kiya: Kisse khair-khwaahi? To Aap ﷺ ne farmaya: Allah, uski kitaab, uske Rasool, musalmano ke imaam aur aam musalmano se. [Sahi Muslim, Kitabul Imaan, Hadees: 55]
حدیث : عَنْ سَهْلِ بْنِ مُعَاذِ بْنِ أَنَسٍ الْجُهَنِىِّ عَنْ أَبِيهِ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- قَالَ « مَنْ أَعْطَى لِلَّهِ وَمَنَعَ لِلَّهِ وَأَحَبَّ لِلَّهِ وَأَبْغَضَ لِلَّهِ وَأَنْكَحَ لِلَّهِ فَقَدِ اسْتَكْمَلَ إِيمَانَهُ ».
Tarjama:Hazrat Sahal bin Ma’az bin Anas Juhni apne waalid se riwayat karte hain ke Huzoor Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya: Jis ne Allah ke liye diya aur Allah hi ke liye dene se ruk gaya, aur Allah ke liye mohabat kiya aur Allah hi ke liye dushmani kiya aur Allah hi ke liye nikah kiya to usne apna imaan mukammal kar liya. [Tirmizi, Hadees: 2521]
حدیث : عَنْ أَبِى مُوسَى الأَشْعَرِىِّ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- « الْمُؤْمِنُ لِلْمُؤْمِنِ كَالْبُنْيَانِ يَشُدُّ بَعْضُهُ بَعْضًا ».
Tarjama:Hazrat Abu Musa Ash’ari radhi allaho anho bayan karte hain ke Rasool Kareem ﷺ ne farmaya: Momin momin ke liye deewaar ki tarah hota hai jiska ba’z hissa ba’z hisse ko taqwiyat deta hai. [Bukhari, Hadees: 2446]
حدیث : عَنْ صفْوَانَ بْنِ سُلَيْمٍ، أَنَّهُ قِيلَ لِرَسُولِ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: أَيَكُونُ الْمُؤْمِنُ جَبَانًا ؟ قَالَ: " نَعَمْ " قِيلَ: أَيَكُونُ الْمُؤْمِنُ بَخِيلًا ؟ قَالَ: " نَعَمْ " فَقِيلَ لَهُ: أَيَكُونُ الْمُؤْمِنُ كَذَّابًا ؟ قَالَ: " لَا ".
Tarjama:Hazrat Safwaan bin Saleem bayan karte hain ke Huzoor Nabi Kareem ﷺ se poochha gaya: Kya momin buzdil ho sakta hai? Aap ﷺ ne farmaya: Haan. Kya momin bakheel ho sakta hai? Aap ﷺ ne farmaya: Haan. Phir poochha gaya kya momin jhoota hosakta hai? Aap ﷺ ne farmaya ke nahi. [Sho’bul Imaan, Hadees: 4472]
حدیث: عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- « الْمُؤْمِنُ غِرٌّ كَرِيمٌ وَالْفَاجِرُ خِبٌّ لَئِيمٌ ».
Tarjama:Hazrat Abu Huraira radhi allaho anho se riwayat hai ke Rasool-e-Akram ﷺ ne irshad farmaya ke momin ghairat-mand, saaf-dil, shareef hota hai. Aur Fajir dhoka dene wala kamina hota hai. [Tirmizi, Hadees: 1964]
Share.........
Imaan Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Wasila Bid'at Isaal-e-Sawab Murde Bolte Sunte Hain Gustakhon ki pahchan Namaz ki fazilat Namaz chhorne ki muzammat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Namaz-e-Vitr Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat